Showing posts with label Tricks & Tips. Show all posts
Showing posts with label Tricks & Tips. Show all posts

Thursday, September 9, 2021

 Blog Kaise banaaye (Part-02)



Dear Friends,
Aise to ghar baithe paisaa kamaane ke bahut saare sahih aur asaan tariqaa he aur un tariqon mein Blogging bhi ek he, agar aap likhnaa pasand karte hein yaa aap chaahte hein ke kuchh jankaari jo aap likh kar share karnaa chaahte hein to phir Blogging woh platform he jahaan aap apne is likhne ki aur jankaari share karne ki wajaah se kuchh earning bhi kar sakte hein. Yahi wajaah he ke mere bahut saare dost aur jo mere blog ko padhte rahte hein woh aksar puchhte hein ke Blog kaise banaaye ? Blog ko kis tariqe se use karein ? Blog ke zariye paisaa kaise kamaaye ?
Doston ye post aap sab ke liye he jo Blog related jankaari lenaa chaahte hein aur Blog ke zariye ghar baithe paisaa kamanaa chaahte hein. Blog related ye meraa dusraa post he, Pahlaa post ko padhne ke liye yahaan Click kijiye. aur jaisaa ke maine apne pichhle post par kahaa thaa ke is Blog ke complete jankaari ke liye main total 3 post karungaa, jahaan step wise hum Blog related woh saari baatein sikh sakte hein, samajh sakte hein jis se ke Blog ke baare mein woh saari jankaari jo aap lenaa chaahte hein woh mil jaaye. To friends main apne Blog related previous post main baat kiyaa thaa:
1- Free Blog kaise banaate hein?
2- Blog aur Website kyaa he?
3-Blogger pe free blog banaane ke faayde kyaa he ?
In saare sawaalon kaa zikr main ne apne pichhle post par kar chukaa hoon, yahaan Blog related post Part-02 mein hum sikhenge aur samjhenge ab kuchh nae sawaalon ko.

Blog related Basic jankaari (Blog kaise banaaye-Part-01) ke liye Yahaan Click karein

PART-02 mein hum jankaari lenge:

  • Blog ko kaise design karein ?

Blog ko kaise Design karein ?

Ek naye Blogger ke liye ye sab se aham aur zaruri sawaal hotaa he ke apne Blog ko kaise design kare, kyun ke ye bahut aham chiz he ke aap ke Blog dusron ke paas attractive aur  khubsurat lage. Kabhi kabhi Blog ko khubsurat banaane ke chakkar mein bahut se Blogger apne Blog pe roz naye naye Theme lagaate rahte hein aur woh soch mein pad jaate hein ke kaun saa theme use karoon ke naa karoon. Agar aap apne Blog ke zariye apnaa ek alag pehchaan bananaa chaahte hein to ye zaroori he ke aap apne Blog ko apne mutaabik aisaa design karein jo bilkul anokhaa ho, lekin ek baat ye bhi he ke sirf Blog ko khubsurat banaane se hi nahin hogaa saath hi aap ke Blog Content bhi achche honaa chaahiye, Kyun ke agar aap ke Blog khubsurat ho par Content achchhe naa ho to phir kyaa faaidaa he. To chaliye ab ek ek karke hum yahaan kuchh aisi Tips ki zikr karein jo aap ke Blog ko khubsurat banaa sakti he:
  1. Blog mein Page bananaa
  2. Blog ki template Change karnaa
  3. Ek khubsurat saa Blog Logo bananaa
  4. Blog Post ke Font Sixe ko Set karnaa
  5. Blog par Favicon laganaa
  6. Mobile Template ko band karnaa
  7. Blog ke Keyword ko Highlight karnaa
  8. Blog ke Font ko Use ke mutabiq Size Change karnaa
  9. Blog Post mein Photo kaa istemaal karnaa
  10. Menu bar bananaa
  11. Author Profile kaa Use karnaa
  12. Credit Info ko Edit karnaa
  13. Blog mein Link kaa Use karnaa
  14. Random Post Widget bananaa
  15. Category Widget Add karnaa
  16. Popular Post Widget Add karnaa
  17. Social Share Icon bananaa
  18. Blog ke color adjust karnaa
  19. Footer Design karnaa
  20. Contact form Widget kaa Use karnaa

  1. Blog mein Page bananaa
Blog mein Page ek Important Matter he aur aise bahut saare Page hote hein jis ko Create karnaa zaruri bhi he, Jaise: About Us Page, Privacy Poolicy Page Contact Page Etc. Yaad rakhiye Blog Design karne se pahle in saare Page kaa banaa lenaa bahut zaruri he, to aap as a new Blogger sab se pahle Design mein khaas kar upar di gayi in chaaron Page ko banaa lijiye, aur aaiye ab chalte hein dusre Number pe;

    2. Blog ki template Change karnaa

Blog Design karte waqt Template kaa changing dusri aur aham chiz he, aap ko pataa honaa chaahiye aap ko jo Default Template yaani Theme milaa ho woh utnaa khaas nahin hotaa he aur shaayad ke aap ke Blog Matter ke saath woh Match bhi naa kare, to behtar he ke aap apnaa Theme ko Change kar lijiye apne mutaabiq. Aap ye bhi yaad rakhiye ke Theme Change karne ke baad koshish kijiye ke use baar baar badalnaa naa pare, kyun ke aise bahut saari Blogger hote he jo hameshaa apnaa Blog ki Theme ko Change karte rahte hein, woh Decide nahin kar paate hein ke kaun saa Theme apne Blog par Set kare aur isi chakkar mein Woh apne Blog ko khubsurti nahi de paate.

    3. Ek khubsurat saa Blog Logo bananaa

Blog Design mein Logo tisri important chiz he aur ye aap ke Blog ki pehchaan bhi he, kyun ke koi bhi Viewer jab aap ke Blog par aate hein to woh sab se pahle aap ke Logo ko dekhte hein. To aap apne Blog ke hisaab se khud ek khubsurat saa Logo Create kijiye, ye aap koi bhi aap se kar sakte hein, behtar he ke Photoshop se Lgo banaaye aur use apne Blog par attach karein.

   4. Blog Post ke Font Sixe ko Set karnaa

Blog ko Design karte waqt aap ko apnaa Font Size par bhi dhyaan denaa he, ye bahut hi Important he, kyun ke aap aise bahut saare Blog dekhe honge, jahaan kisi Blog kaa Font itnaa chhotaa hotaa he ke use aap padh nahin paate aur kuchh to itne bade hote hein ke woh dikhne mein bahut hi kharaab lagtaa he, to aap apnaa Font Size ko Set kijiye taa ke aap kaa Blog padhne mein asaan ho aur khubsurat bhi lage.

    5. Blog par Favicon laganaa

Kyaa aap ne kabhi ye khayaal kiye hein ke kuchh Blog yaa Website kholte waqt Browser Tab mein alag saa ek Logo dikhtaa he jo us Blog yaa Website kaa apnaa pehchaan hotaa he, ise Fvicon kahte hein, ye bahut chhoti si chiz he par aap ki Blog ki khubsurti ke liye bahut hi aham he, to Blog Design mein is baat kaa bhi khayaal rakhiye ke aap apnaa Blog kaa Favicon apne hisaab se Change karein.

    6. Mobile Template ko band karnaa

Aap apnaa Blog banaane ke baad use agar kisi Mobile par kholenge to aap ko apnaa Blog Mobile par waise hi dikhegaa jaisaa ke aap ne apnaa Theme Design kiye he aur ye is liye dikhtaa he kyun ke Blogger mein Mobile ke liye ek Default Theme Set kiyaa huaa rahtaa he, aur aap chaahe to use asaani se Disable bhi kar sakte hein. 

   7. Blog ke Keyword ko Highlight karnaa

Blog mein ye bhi ek aham hissa he ke aap jab Blog mein kuchh likhe to is baat kaa khayaal rakhiye ke

Blog related Basic jankaari (Blog kaise banaaye-Part-01) ke liye Yahaan Click karein

aap ke Blog Post mein agar kuchh aham Lines he to use aap hameshaa Highlight kar ke rakhiye, yaa to Bold kijiye yaa us kaa Color Change kijiye baaki ke text se.

   8. Blog ke Font ko Use ke mutabiq Size Change karnaa

Jo Post aap apne Blog mein likh rahe hein us mein bhi is baat kaa dhyaan dijiye ke us kaa Font kaa Size sahih rahe, kyuun ke jaisaa ke main ne pahle batayaa ke bahut saari Blog mein aap dekhe honge ke Font Size kaafi badaa yaa chhotaa hone ke wajaah se use padhne mein dikkat bhi hoti he aur woh khubsurat bhi nahin lagtaa.

    9. Blog Post mein Photo kaa istemaal karnaa

Blogger apne blog mein Image kaa Use kare, te ek zaruri Step he, kyun ke ye Image sirf aap ki Post ki khubsurti hi nahin balke aap ke Post ke Matter ko bhi bayaan karti he, to aap koshish kijiye ke apne Post par zarur aap Photo kaa istemaal kare, bas ek baat kaa dhyaan rakhiye ke Image ko apne Post ke niche nahin balke shuru mein yaa to Centre mein rakhe, taake aap kaa Post read karte waqt aap kaa Image saamne dikhe.

    10. Menu bar bananaa

Ye baat to aap ko pataa hi hogaa ke Menu Bar ke zariye kitnaa asaan hotaa he kisi bhi blog ko Navigate karnaa, to aap apnaa Blog Design karte waqt Menu bar Create kijiye aur use achchhe se Edit kijiye apne Blog ke Content ke hisaab se.

    11.  Author Profile kaa Use karnaa

 Aap apnaa Blog ko ek achchhha Look dene ke liye Autor Profile kaa Use kar sakte hein. Author Profile se Reader ko pataa chaltaa he ke Post kisne likhaa he aur ye Post ke aakhir mein rehtaa he.

    12. Credit Info ko Edit karnaa

Aap khayaal kiye honge ke agar aap Blogger Theme Use kar rahe hein to blog Footer mein aap ko "Powered by Blogger" likhaa huaa dikhtaa he, ise aap chaahe to Edit kijiye, kyun ke is se bhi aap kaa Blog ko ek achchha Look miltaa he, jis se ke kisi reader ko ye pataa naa chale ke aap kon saa Theme Use kar rahe hein.

    13. Blog mein Link kaa Use karnaa

Blog ki Designing mein ye bhi ek aham chiz he ke aap Link kaa Use karein, koi bhi post jo jyadaa Important ho yaa Related Post kaa link aap diyaa kijiye, jo Reader ko aap kaa Blog Read karne mein  sahulat bhi hogaa aur aap ke Blog ko ek achcha Look bhi milegaa. Waise apne Blog pe "About Us", "Contact Us" yaa "Privacy policy" jaise link ko to zaroor rakhiye, jis se aap ke Reader ko aap par bharosaa bhi hogaa.

    14. Random Post Widget bananaa

Blog mein "Popular Post Widget" jaise aap ke Blog ke Popular Post ko dikhaati he aise hi Random Post aap ke Blog ke naye naye Post ko dikhaati he, jis se aap ke Blog Reader ko aap ke blog me ki gayi nayi Post ki jankaari milti he aur ye aap ke Blog ko khubsurti bhi deti he.

    15. Category Widget Add karnaa

Blog ki khubsurti ke saath saath Blog ke navigation bhi asaan honaa chaahiye, taake reader asaani se aap ke Blog ko Navigate kar sake aur Category Widget ek aisaa hi Widget he jo aap ke Blog Navigation ko asaan kar deti he, to Blog design mein aap Category Widget kaa istemaal karnaa naa bhulein. 

    16. Popular Post Widget Add karnaa

Blog ke Disign mein ye bhi ek important hissa he ke aap apne Blog par Popular Post kaa ek Widget banaaye, jis se aap ke Blog Reader ko pataa chale ke aap ke Blog pe sab se jyadaa read ki gayi aur sab se Popular Post kon saa he aur saath hi is Widget se aap ki Blog ki khubsurti bhi barh jaayegi.

    17. Social Share Icon bananaa

Aap ke Blog ki khubsurti aur Designing mein Share Button bhi ek zaroori chiz he. Aap ke Blog ke reader ko agar aap ki koi Post achchhi lagi aur woh agar us Post ko Share karnaa chaahe to woh asaani se sharing Icon ke zariye us Post ko Share kar sakte hein, lihazaa aap Blog ki Designing ke waqt is chiz ko bilkul naa bhule. 

    18. Blog ke color adjust karnaa

Kabhi kabhi kyaa hotaa he ke, Blog aap ne Design kar liye aur us par aap achchhe achchhe Post bhi likh rahe hein, lekin Color adjustment ki wajaah se shaayad wahi Post aap ke Reader ko parhne mein mushkil banaa rahi ho, yaa to aap ke Post mein aap ne kuchh aisaa Color Use kiye hein ke jis se aap kaa Blog ki khubsurti ghat gayi he, to aap is chiz ko zaroor dhyaan mein rakhe ke Clor kaa Selection aur adjusment bahut aham chiz he aap ki Blog ki kkhubsurti ke liye.

    19. Footer Design karnaa

Blog ke Footer mein aap ke Blog Contact Details hote hein, to aap apnaa Blog Designing mein ek achcha Footer kaa istemaal kijiye, jis mein aap ke Blog Contact achchhe se mentioned ho. 

20. Contact form Widget kaa Use karnaa

Ye Blog Design ki 20th aur aakhri hissa he ke agar aap ke Blog Visitor aap se agar Personaly Contact karnaa chaahe to "Contact Form Widget" se aap se woh Contact kar sakte hein, lekin itnaa yaad rakhe ke agar aap ne apne Blog par "Contact Us" Page banaaye hein to phir is Widget ko alag se Add karne ki zarurat nahin he.

To Dear Friends upar di gayi in 20 Trics o Tips ko aap zaroor apnaaye aur is related mazeed jankaari ke liye aap be jhijhak Contact kar sakte hein...

Sunday, June 20, 2021

MOBILE TIPS & TRICKS...

ANDROID MOBILE TIPS & TRICKS...

Hi Friends,
            Sab se pahle main aap ki jankaari ke liye ye bataa doon ke Android ek Operating System he, jo kisi Smartphone ko chalaane ke liye zaroori hotaa he. Iskaa matlab ye nahin ke binaa Android system ke mobile nahin chal saktaa, chal saktaa he kyun ke Android ke ilawaa aur bahut saari Operating System he jis se Mobile chal saktaa he for Example Window and Apple. Android system Google se banaayi hui he aur ye sab se jyadaa Use hone waali Operating System he.
 
aaj As a mobile platform, Android badi tezi se duniya bhar mein popular ho rahaa he,  aur isi wajah se hameshaa is mein nayi nayi features add hote jaa rahe hein aur android day by day update hota ja rahaa he, kuchh features to itnaa aham he ke mobile mein uski moujudgi aur us ki jankaar bahut zaroori he, aur agar aap apnaa mobile phone ko apne liye aur jyadaa upyogi karnaa chaahte hein to aap ko un features ke baare mein updated rahnaa he.
Mobile mein aisi bahut saare features hein jin mein se kuchh hamein pataa he aur kuchh hamein maloom nahin he ke in features ke use se aao kaa mobile aur jyadaa upyogi hogaa hamaare liye.
aaj hum yahaan Mobile Tips & Tricks mein aise bahut saare baatein share karenge, jis ke zariye aap apnae mobile ko aur jyadaa behtar tariqe se istemaal kar sakte hein.

AUTO CAD commands ke baare mein jaan ne ke liye yahaan click karein

Friends to aaj hum is post par niche di gayi in topics par baat karenge aur ummid he ke ye aap ke kaam aa jaaye:
1- 2G Connection par rah kar 3G ke speed kaise haasil karein
2- YouTube Video kaa MP3 version kaise download kar sakte hein
3- WIFI ki chori kaise pakde
4- Data Connection Available naa hone par 3G se 2G mein Switch kaise karein
5- Apne mobile phone ko lagataar Hnag hone se kaise bachaayein
6- Apne phone kaa speed badhaane ke liye kyaa karein
to aaiye dosto ab hum upar di gayi in baaton ko details mein samjhe aur inhe apne istemaal mein laayein

1- 2G Connection par 3G kaa speed milnaa

1- Sab se pahle aap apne mobile ke "Settings" me jaiye
2- Settings mein "printing" ke niche "more Network" par click kijiye
3- "More Network" mein dikhne waale 3 options mein se "Mobile Network" ko select kijiye
4- Ab yahaan aap ko SIM select karne ko kahaa jaayegaa, aap apnaa SIM select kar ke network mode ko select kijiye, (agar aap Dual SIM use kar arhe hon to aap us SIM ko select kijiye jis ko aap browsing ke liye use karnaa chaahte hein)
5- SIM select karne ke baad aap ko 4 options milenge, jis mein aap "WCDAM" Only" option ko select kijiye
6- Ab aap mukammal back jaiye aur apne phone ko restart kijiye, Ab aap 2G ke network par 3G ke speed mein Internet kaa istemaal kar sakte hein, par yaad rakhiye ye sirf browsing ke liye he, yaani Download mein aap ko ye speed nahin milenge.

Kitchen ke Asaan Tips & Tricks ke liye Yahaan Click Karein

2- Youtube Video kaa MP3 Version kaise download karein

1- Sab se pahle aap jis Video ko MP3 Convert karnaa chaahte hein use Youtube par open kijiye
2- Ab us Youtube Video kaa link ko copy kijiye
3- Ab aap apne mobile browser ko open kijiye aur Browser par "Click Converter.cc" Website ko open kijiye
4- Abhi aap copy ki hui Youtube Video link ko "Video URL to Download" option mein jaa kar paste kar dijiye
5- Ab aap ko us Video kaa jo bhi Format aap ko chaahiye, us format ko select kar ke Continue par click kijiye
6- Ab Youtube aap ko Video Quality ke baare mein puchhegaa, aap apne pasand ke anusaar quality selct kijiye aur Download button par click kijiye, That's all.

Excel ke baare mein Jankaari ke liye Yahaan Click Karein

3- WIFI ki chori kaise pakde

1- Aap sab se pahle apne Wifi Modem ke upar jalne waali Lights par dhyaan dein, in mein se ek Internet Connectivity ki, Ek lane ki aur tisraa Wireless Device ki hoti he. Wifi chori kaa pataa lagaane ke liye sab se pahle to aap sabhi Wireless Devices ko band kar dijiye
2- Agar aap ne apne use kiye jaane waali saari Devices ko Wifi se disconnect kar diye hein to abhi aap ke Wireless Modem ke 4 Lights mein se 3 Lights aap ko band hote hue dikhenge, aur agar lights band nahin hotaa he to is kaa maatlab ho saktaa he koi aap kaa Wifi use kar rahaa he.

4- Bagair Data Connection par 3G to 2G Swotch honaa

1- Kabhi kabhi hum aise jagaah par rahte hein jahaan humein Internet ki sahih speed nahin mil paati, aise mein 3G se 2G par Switch karne se network kaa problem kaafi had tak dur ho sakti he
2- Is ke liye aap apne "Mobile Network Settings" mein jaaiye
3- Settings mein "Preferred Mobile Network Type" mein jaiye
4- "Preferred Mobile Network Type" mein aap 2G ko select kijiye

5- Phone ko Hnag hone se kaise bachaayein

1- Mobile phone Hnag hone ki bahut saari wajaah mein sab se aham aur aksar hone waali wajaah mein se ek ye he ke hamaare Mobile phone me Installed App kaa Automatic Update honaa, aur ye Background mein hone ke wajaah se hamein pataa bhi nahin chaltaa aur mobile Slow yaa Hnag ho jataa he
2- Sab se pahle aap apne Mobile ke "Settings" mein jaaiye
3-  "Settings" mein jaa kar yahaan aap "More Settings" ke option mein jaaiye
4- "More Settings" option se aap "Devlopers" option par click kijiye
5- "Devlopers" Option mein click karne ke baad aap ko "Limit Background Proccesses" option milenge, is par click kijiye
6- Abhi yahaan aap 1 yaa 2 proccess ko select kijiye

6- Phone kaa speed kaise badhaayein

1- Ek muddat ke baad hamaraa phone kabhi kabhi Slow ho jaati he, aur pahle jaisaa Speed nahin milne se humein apne phone ko istemaal karne me dikkat hoti he
2- Sab se pahle aap apne mobile ke "Settings" mein jaaiye
3- "Settings" mein jaa kar "More Settings" option mein jaaiye
4- "More Settings" option mein aap ko "Devlopers" option par janaa he
5- "Devlopers" option mein aap ko "Window Animation Scale" aur "Transit on Animation Scale" Options milenge
6- In options ko aap 0.5x par set kijiye.

(Dear Friends, I am waiting for your Valuable Suggestions in comment box, regarding this post and this blog also, to make these more useful for you.......... Thank you All)

Monday, October 12, 2020

KITCHEN KE KUCHH TIPS & TRICKS

KITCHEN KE KUCHH TIPS & TRICKS
Friends,
Achchha khanaa bananaa bhi ek Art he jo har kisi se nahin ho pataa, aur ek achchhe Chafe yaa hamaare ghar ke aurtein jab khanaa banaate hein to unki koshish hamesha yahi rahti he ke khanaa laziz bane aur sab ko pasand aaye. Sirf yahi nahin unki hameshaa se ye koshish rahti he waqt lage aur mehnat lage llekin khanaa swaadist bane. Agar aap bhi khanaa banaane ke shokin hein to ye post aap ke liye important he, kyun ke is Post mein maine kuchh aisi zaruri Kitchen Tips kaa zikr kiyaa he, jo ek Chafe ke liye yaa koi bhi jo khanaa banaa rahe hon unke liye jaan ke rakhnaa bahut zaruri he, Kyaa aap ko pataa he ke kuchh aise bhi Kitchen Tips hein jo aap ke khanaa banaane kaa kaam ko bahut jyadaa asaan kar saktaa he.

Kitchen ke ke kuchh zaruri Tips:

1- Rajmaa: Agar aap Rajmaa yaa urad ke daal banaa rahe hein to use ubaalte waqt namak naa daalein, us se ye jaldi pakegaa, chaahe to namak baad mein daale.

2-Puri: Puri ko bahut jyadaa khastaa banaane ke liye jab aap ataa gunde to us mein ek chammach suji yaa chaawal kaa ataa milaa dein.

3-Namak: Barsaat mein namak ko gilaa hone se bachccne ke liye namak ke Bottle mein ek mutthi chaawal rakh dein, namak nahin galegaa.

4-Ataa: Gunde hue aate ko agar aap Freeze mein rakhnaa chaahein to us ke upar thoraa saa ghi lagaa dein, ataa tar o tazaa rahegaa.

5-Paneer: Paneer ko agar aap naram karnaa chaahte hon to garam paani mein namak milaayein aur 10 Minutes ke liye us mein paneer ko daal kar rakhein, bilkul naram ho jaayengi.

6-Chaawal: Chaawal banaate waqt jab chaawal ubalne lage to us mein nimbu kaa ras daal dein, aap ke bane hue chaawal khile khile, safed aur swaadist honge.

7-Pyaaz: Pyaaz ko kaatne se pehle kuchh der ke liye Freeze mein rakh dein, aisaa karne se kaatne ke dauraan aap ke aank se aansu nahin aayenge, inshaa Allah.

Is Post mein itnaa hi, phir inshaa Allah agle post mein Kitchen Related aur kuchh Tips aur Tricks kaa zikr karenge.






Saturday, September 26, 2020

BLOG Kaise banaaye (Part-01)

BLOG Kaise banaaye (Part-01)

Hi Friends,

Aise bahut saare mere dost hein jo Blogging ke baare mein kaafi interest to rakhte hein leikn ek Professional Blogger banne ke liye jo Proper Steps hote hein us ki jaankaari naa hone ke wajaah se ek time ke baad woh apne bane hue Blog se dhyaan hataa dete hein aur yahi nahin kuchh mere dost to aise bhi hein jinhe Blog banaane kaa sahih tariqaa bhi nahin maloom  he, jab ke Internet ki duniyaa mein Online Business yaa apni alag pehchaan banaane ke liye Blog ek bahtarin Platform he, sirf yahi nahin aap Blogging ke zariye (agar aap ko Blogging ke Basic aati ho) chaahe to paise bhi Earn kar sakte hein, jis ke liye aap ko koi paisaa kharch karne ki zarurat nahin, bas aap ko Blogging ke baare mein ek Basic Knowledge honaa chaahiye aur sahih janklaari honaa chaahiye jis se ke aap apne bane hue Blog ko paisa Earning kaa ek sahih Medium banaa sake.

         Friends to aaj mein Blog ke baare mein kuchh likhne se pahle ye baat Clear karnaa chaahungaa ke Blogging se paisaa Earn karne ke liye apnaa Blog ke Website ko Approve karwanaaa partaa he , kyun ke aap kaa Blog Approve hone ke baad hi us mein Ads aane lagte hein aur usi Ads ke zariye hi aap paisa Earn karnaa shuru karte hein. To Friends Blog banaane se leikar use Step by Step Approve karanaa aur apne us bane hue Blog mein jyada se jyada Traffic milne tak bahut saare Steps hote hein jo hum dhire dhire aur achchhe Explanation ke saath jaaneinge, aur isi liye main ne is Topic ko 3 Part mein Devide kiyaa he, jis se ke hamein Blog Related woh saari jankaari mil jaaye jis se ke hum ghar baithe Blogging ke zariye paisa Earn kar sakein.

        PART-01 mein hum jankaari lenge:

  • Free Blog kaise banaate hein ?
  • Blog aur Website kyaa he ?
  • Blogger par Free Blog banaane ke faaide kyaa he ?

Free Blog kaise banaate hein ?

Blog banaane ke bahut saari Platform he, chaahe to aap free mein banaaye yaa to Paid Blog bhi banaa sakte hein, lein main aap ko is Post mein Free Blog ke baare mein hi bataaungaa. Niche aise kuchh Platform he jis se aap free aur Paid dono tariqon se Blog Create kar saktehein:

  • Blogger
  • WordPress.com
  • WordPress.org(By Paying)
  • Wix.com
  • Tumblr
Blogger (Blogspot.com) : Blogger Google kaa hi ek Free Service he jahaan aap Free mein apnaa Website yaa Blog banaa sakte hein, Is mein aap ko kisi prakaar ki Hosting lene ki zarurat nahin padti, Google khud se Host kartaa h, jis se is ki Security ko lekar koi shak nahin ho saktaa, aur Blogger pe puraa adhikaar Google kaa hotaa he.

Wordpress.com : WordPress Website ke do Part hein, pehlaa Wordpress.com jo ke bilkul free he jis par aap free mein Account banaa sakte hein, lekin is mein Features kam hote hein.

Wordpress.org: WordPress kaa ye dusraa Platform he jo ke Paid service he aur is mein aap ko Hosting jke saath Domain bhi Purchase karnaa padtaa he, lekin is ki ek achchhi baat ye he ke ye Manage karnaa asaan he kyun ke is mein Codding ki zarurat nahin padti.

Wix.com: Wix bhi Free aur Paid do tariqe ki Platform he, jis par aap binaa kisi paise ke Free mein Blog banaa sakte hein, lekin Free Version mein Features Limited hote hein.

Tumblr: Tumblr par bhi aap Free mein Blog banaa sakte hein aur aap apne Article Share bhi kar sakte hein.

In sabhi mein Se Blogger aur WordPress jyadaa Popular he

Agar aap ne abhi tak Blog nahin banaaye aur bananaa chaahte hein to main aap ko Recommand karungaa ke aap Blogger.com se hi apnaa Blog ko shuru karin, ye asaan he aur bikul free bhi.

Free Blogg kaise banaaye, Step by Step:

Sab se pahle aap jis Mail ID se Blog shuru karnaa chaahte hein us par Login kijiye aur jab aap kaa Login Complete ho jaaye to aap ke saamne jo Page khulenge us ki upri hissa kuchh yun hongi:


Circle ki hui Icon pe Click kijiye to aap ke saamne Google ke saare Product aa jaayenge, jis mein Blogger ke bhi ek Icon aap ko dikhengejo kuchh is tarhaa honge:

Circle Mark pe Click karenge to aap Redirect ho kar sidhaa aa jayenge www.blogspot.com yaani Blogger ke Site par, yahaan aap ko niche di gayi Picture ke tarhaa ek nayaa Window dikhenge:


Ab aap ko Click karnaa he "CREATE YOU BLOG" pe yaa to "SIGN IN" par jaa kar apne G-mail ID se Login karnaa he, phir aap ke saamne Create Blog kaa nayaa Window khul jaayenge jo kuchh is tarah kaa hogaa:

1-Title- Title me aap ko apne Blog kaa naam daalnaa he, For Example main ne yahaan Blog kaa naam Khayaal rakhaa he, aap bhi apne pasandidaa koi bhi naam rakh sakte hein, yaad rahe ye naam aap jab chaahe Change bhi kar sakte hein.
2-Address (URL)- Yahaan aap ko apne Blog kaa Address yaani URL denaa padtaa he, aap koshish ye kijiye ke jo aap ne apnaa Blog kaa naam rakhe hein, usi naam se URL ban jaaye, lekin agar aphle se kisi ne woh address use kar chuke hein to akbhi kabhhi aap ke pasindidaa URL Save naa bhi ho saktaa he, tu us surat mein aap apnaa URL mein thoraa bahut Change kar ke dekh sakte hein ke woh Available he ke nahin. For Example main ne yahaan Khayaal.321 dalaa hoon aur us mein baaki kaa Blogspot.com khud se likh kar aa jataa he. yaani meraa Blog kaa Address hua-khayaal.321@blogspot.com.
3-Theme- Yahaan aap ko apne Blog ke liye Theme ka chayan karnaa he, aap koi bhi normal saa theme select kar sakte hein, yaad rahe ke Theme ko bhi aap kabhi bhi change kar sakte hein aur use Customize bhi kar sakte hein.
4-Create Blog- Yahaan Click karte hi aap ki Blog Creation Complete ho jataa he.

Blog aur Website kyaa he ?

Ab hum ne apnaa Blog banaa liyaa, par ek chiz kaa jankaari yahaan bahut zaruri he ke, Blog aur Website mein kyaa antar yaani Diffrence hotaa he ?
            Blog aur Website dono ek dusre se alag he aur ye kyun alag heaaiye jaante hein:
Website kaa matlab he ek aisi Company jo sirf ek hi Topic par work karti he, For Example Amazon, Flipkart aadi aur aap bakhubi jaante hein ke ye dono Website se aap ko sirf Shopping Releted hi Informations milti he, thik waise hi Facebook, Twitter aadi bhi ek Website he jahaan sirf aap ek dusre se Social Contact rakh sakte hein. Ek Website ko banaane ke liye Java Script, php, html, CSS aadi Programming ki Knowledge honaa bahut zaruri he, kyun ke in ke bagair aap koi bhi Website Create nahin kar sakte hein.
            Lekin Blog us Platform ko kahte hein jis mein sabhi prakaar ke Article aur apne Thoughts ko aap Share kar sakte hein, chaahe woh Coocking ho, Education ho yaa koi bhi Topic ho, aur Blog ko banaane ke liye kisi bhi Programming ki zarurat nahin hoti, bas aap ko thoraa sa Basic Knowledge honi chaahiye.

Blogger par Free Blog Banaane ke Faaide kyaa he ?

Upar hum ne ab tak jo bhi Blog related Discussions kiye wo sirf aur sirf Blogger ke zariye banaane ke baare mein he, par kyun Sirf Blogger.com hum Use karenge, kyaa kyaa Faaide hein is ke aur main ne aap ko kyun Recommend kiyaa thaa Blogger par hi apnaa Blog ko Create karne ke baare mein, to aaiye jaante hein ke kyaa kyaa faaide hein Blogger.com se apnaa Blog Banaane ki.
  • Aap apnaa G-mail Account se hi khud kaa Blog banaa sakte hein.
  • 2-5 Minutes mein hi aap apnaa Blog Create kar sakte hein.
  • Ek hi Account se jitnaa chaahe Blog banaa sakte hein.
  • Apne Blog par Advertisement lagaa sakte hein.
  • Income kar sakte hein.
  • Youtube Video ko Show kar sakte hein.
  • Blog aur apne Post ki Language ko Chnage kar sakte hein.
  • Apne Blog kaa Complete Backup le sakte hein.
  • Unlimited Bandwidth paa sakte hein.
  • Page Views Easily check kar sakte hein.
  • Apne Blog pe aaye Comments ko manage kar sakte hein.
  • Apnaa Login Account Change kar sakte hein.
  • Admin ko jab chaahe Change, Add yaa Delete kar sakte hein.
  • Blog Name aur Blog kaa Address kabhio bhi Change kar sakte hein.
  • Bahut saari Free Templete kaa Use kar sakte hein.

( Dear Friends... hum ne yahaan PART-01 ko Complete kar chuke ab aane waale Blog Releted Post par hum baaki ki 2 Parts ek ek karke Complete karenge, inshaa Allah )