Search This Blog
Wednesday, September 30, 2020
নমায সম্পর্কিত কিছু কথা (Some Important Things Related to Namaaz)
Saturday, September 26, 2020
BLOG Kaise banaaye (Part-01)
BLOG Kaise banaaye (Part-01)
Aise bahut saare mere dost hein jo Blogging ke baare mein kaafi interest to rakhte hein leikn ek Professional Blogger banne ke liye jo Proper Steps hote hein us ki jaankaari naa hone ke wajaah se ek time ke baad woh apne bane hue Blog se dhyaan hataa dete hein aur yahi nahin kuchh mere dost to aise bhi hein jinhe Blog banaane kaa sahih tariqaa bhi nahin maloom he, jab ke Internet ki duniyaa mein Online Business yaa apni alag pehchaan banaane ke liye Blog ek bahtarin Platform he, sirf yahi nahin aap Blogging ke zariye (agar aap ko Blogging ke Basic aati ho) chaahe to paise bhi Earn kar sakte hein, jis ke liye aap ko koi paisaa kharch karne ki zarurat nahin, bas aap ko Blogging ke baare mein ek Basic Knowledge honaa chaahiye aur sahih janklaari honaa chaahiye jis se ke aap apne bane hue Blog ko paisa Earning kaa ek sahih Medium banaa sake.
Friends to aaj mein Blog ke baare mein kuchh likhne se pahle ye baat Clear karnaa chaahungaa ke Blogging se paisaa Earn karne ke liye apnaa Blog ke Website ko Approve karwanaaa partaa he , kyun ke aap kaa Blog Approve hone ke baad hi us mein Ads aane lagte hein aur usi Ads ke zariye hi aap paisa Earn karnaa shuru karte hein. To Friends Blog banaane se leikar use Step by Step Approve karanaa aur apne us bane hue Blog mein jyada se jyada Traffic milne tak bahut saare Steps hote hein jo hum dhire dhire aur achchhe Explanation ke saath jaaneinge, aur isi liye main ne is Topic ko 3 Part mein Devide kiyaa he, jis se ke hamein Blog Related woh saari jankaari mil jaaye jis se ke hum ghar baithe Blogging ke zariye paisa Earn kar sakein.
PART-01 mein hum jankaari lenge:
- Free Blog kaise banaate hein ?
- Blog aur Website kyaa he ?
- Blogger par Free Blog banaane ke faaide kyaa he ?
Free Blog kaise banaate hein ?
Blog banaane ke bahut saari Platform he, chaahe to aap free mein banaaye yaa to Paid Blog bhi banaa sakte hein, lein main aap ko is Post mein Free Blog ke baare mein hi bataaungaa. Niche aise kuchh Platform he jis se aap free aur Paid dono tariqon se Blog Create kar saktehein:
- Blogger
- WordPress.com
- WordPress.org(By Paying)
- Wix.com
- Tumblr
Wordpress.com : WordPress Website ke do Part hein, pehlaa Wordpress.com jo ke bilkul free he jis par aap free mein Account banaa sakte hein, lekin is mein Features kam hote hein.
Wordpress.org: WordPress kaa ye dusraa Platform he jo ke Paid service he aur is mein aap ko Hosting jke saath Domain bhi Purchase karnaa padtaa he, lekin is ki ek achchhi baat ye he ke ye Manage karnaa asaan he kyun ke is mein Codding ki zarurat nahin padti.
Wix.com: Wix bhi Free aur Paid do tariqe ki Platform he, jis par aap binaa kisi paise ke Free mein Blog banaa sakte hein, lekin Free Version mein Features Limited hote hein.
Tumblr: Tumblr par bhi aap Free mein Blog banaa sakte hein aur aap apne Article Share bhi kar sakte hein.
In sabhi mein Se Blogger aur WordPress jyadaa Popular he
Agar aap ne abhi tak Blog nahin banaaye aur bananaa chaahte hein to main aap ko Recommand karungaa ke aap Blogger.com se hi apnaa Blog ko shuru karin, ye asaan he aur bikul free bhi.
Free Blogg kaise banaaye, Step by Step:
Sab se pahle aap jis Mail ID se Blog shuru karnaa chaahte hein us par Login kijiye aur jab aap kaa Login Complete ho jaaye to aap ke saamne jo Page khulenge us ki upri hissa kuchh yun hongi:
Blog aur Website kyaa he ?
Blogger par Free Blog Banaane ke Faaide kyaa he ?
- Aap apnaa G-mail Account se hi khud kaa Blog banaa sakte hein.
- 2-5 Minutes mein hi aap apnaa Blog Create kar sakte hein.
- Ek hi Account se jitnaa chaahe Blog banaa sakte hein.
- Apne Blog par Advertisement lagaa sakte hein.
- Income kar sakte hein.
- Youtube Video ko Show kar sakte hein.
- Blog aur apne Post ki Language ko Chnage kar sakte hein.
- Apne Blog kaa Complete Backup le sakte hein.
- Unlimited Bandwidth paa sakte hein.
- Page Views Easily check kar sakte hein.
- Apne Blog pe aaye Comments ko manage kar sakte hein.
- Apnaa Login Account Change kar sakte hein.
- Admin ko jab chaahe Change, Add yaa Delete kar sakte hein.
- Blog Name aur Blog kaa Address kabhio bhi Change kar sakte hein.
- Bahut saari Free Templete kaa Use kar sakte hein.
( Dear Friends... hum ne yahaan PART-01 ko Complete kar chuke ab aane waale Blog Releted Post par hum baaki ki 2 Parts ek ek karke Complete karenge, inshaa Allah )
Wednesday, September 16, 2020
EXCEL Sikhein aur Sikhaayein
Hi Doston, aaj hum janeinge MS Excel yaani Microsoft Excel ke baare mein, jo aaj ke dour mein aare aane waale kisi bhi samai ke liye jaan kar rakhnaa yaa sikh rakhnaa bahut hi zaruri he, kyun ke Excel ek aisi program he jo kisi bhi Field me kaam aati he aur ghanton yaa mahinon ke kaam bari asaani se kar detaa he. Microsoft Excel puri duniyaa mein sab se jyadaa use kiye jaanewaale Spreadsheet program he aur Excel ki popularity ki ek khaas wajaah ye he ke Excel bahut saare Data ko organised aur Effective Way mein aur kam time mein store kar saktaa he...
MS Excel ke Versions: Aap dekhe honge ke aap ki mobile mein jo saare aaplications aap Use karte hein woh har mahinaa do mahine mein update hote rahte hein, kyun ke un saare Applications mein kuchh naye Features Add kiye jaate hein aur agar aap un Features kaa laabh uthanaa chaahein to aap us Application ko Update kar lete hein, thik aise hi MS Excel ki bahut saare Versions he aur aap chaahe to koi bhi Version kaa Use kar sakte hein. Jaise MS Excel-2007, MS Excel-2010, MS Excel-2013 aur abhi to MS Excel-2016 bhi he jo ke ab tak kaa sab se Latest Version he.
MS Excel ke Uses: Jaisaa ke maine pahle hi batayaa ke Excel har ek Field mein Use hoti he, pahle to ye Software Usually Analysts, Consultant, Marketing Professionals aur Bankers aadi ke kaam par hi Use hoti thi par aaj ye itnaa aam he ke har koi apne Personal Use ke liye bhi Excel kaa istemaal karte hein, Jaise Teachers apne Student ke marks ko store karne mein uski Grade yaa Percentage banaane ke liye, Student apne Personal Daily Expenses ko store karne ke liye yaa to koi Business Man apne Business ki puri Details Store karne ke liye Excel kaa saharaa lete hein aur yahi wajaah he ke agar kisi ke paas Excel ki Knowledge he to Job milne ki Chances aur barh jaati he, kyun ke chhoti ho yaa bari kisi bhi Company me Data store kiyaa jataa he aur Excel ek Perfect Program he is kaam ke liye.
MS Excel kaise Sikhein: Sab se pahle aap ek baat jaan lein ke agar aap mein sikhne ki lagan ho aur kisi kaam ko jo insaanon ke vash mein hon puraa karne kaa josh ho to koi bhi kaam aap ke liye namumkin nahin he, hmm Time aur ichchha yaani iradaah lagenge use puraa karne mein.
Ye baat maine is liye batayaa kyun ke Excel ek aisi Program he jise kisi ek Post mein yaa kisi ek Video mein sametaa nahin ja saktaa, haan lekin kai Post me yaani kai Part mein hum ise aap ke saamne laa sakte hein aur ye aap ke liye bhi asaan hogaa, waise bhi hum yahaan MS Excel ke jo Basic knowledge he use yahaan zikr karenge aur ye kaafi he Excel mein kaam karne ke liye. Is Blog mein main Excel ke baare mein thoraa thoraa kar ke post kartaa rahungaa aur coming post mein hum kiyaa sikhenge ye bhi Mention kiyaa jaayegaa, to aap pure post ko parhe aur phir aane waale post kaa intezaar karein.
STEP-01
EXCEL SHEET kyaa he: Sab se pahle hum jaanenge Excel Sheet kise kahte hein aur kyaa hoti he. Bas aap yun samajh lijiye ke Excel kaa program ko kholte hi aap ke saamne jo Page Open hotaa he, jis par aap ko kaam karnaa he use hi kahte hein Excel Sheet, ise Workbook bhi kahaa jataa he. to Excel aap Open karte hi jo Sheet aap ko dikhenge us mein kai chhoti chhoti ghar banaa hogaa, jise Cell kahte hein aur ye Cell upar se niche aur daain se baayen taraf khinchi gayi Line se banaa hua he aur aap dekh rahe honge ke upar se niche khinchi gayi Line jise kahte hein "COLUMN" ko A, B, C, D aur daine se baiyen taraf khinche gaye har ek LineJISE KAHTE HEIN "ROW" ko 1, 2, 3, 4, 5 aise naam diyaa huaa he. aap apne Cursor se kisi bhi ghar mein Click kijiye to upar ek number aap ko dikhenge jo us Cell ki naam he, woh kuchh yun hotaa he C15, D13, A02 etc. Agar hum Excel Version 2013 ki baat karein to is mein aap ko har ek Sheet mein 1048576 ROWs aur 16384 CELLs hote hein yaani kul milaa kar 17179869184 chhote chhote box yaa ghar hote hein jis mein aap kaam kar sakte hein apne zarurat ke anusaar.