Wednesday, September 16, 2020

EXCEL Sikhein aur Sikhaayein

 

EXCEL Sikhein aur Sikhaayein

Hi Doston, aaj hum janeinge MS Excel yaani Microsoft Excel ke baare mein, jo aaj ke dour mein aare aane waale kisi bhi samai ke liye jaan kar rakhnaa yaa sikh rakhnaa bahut hi zaruri he, kyun ke Excel ek aisi program he jo kisi bhi Field me kaam aati he aur ghanton yaa mahinon ke kaam bari asaani se kar detaa he. Microsoft Excel puri duniyaa mein sab se jyadaa use kiye jaanewaale Spreadsheet program he aur Excel ki popularity ki ek khaas wajaah ye he ke Excel bahut saare Data ko organised aur Effective Way mein aur kam time mein store kar saktaa he...

MS Excel ke Versions: Aap dekhe honge ke aap ki mobile mein jo saare aaplications aap Use karte hein woh har mahinaa do mahine mein update hote rahte hein, kyun ke un saare Applications mein kuchh naye Features Add kiye jaate hein aur agar aap un Features kaa laabh uthanaa chaahein to aap us Application ko Update kar lete hein, thik aise hi MS Excel ki bahut saare Versions he aur aap chaahe to koi bhi Version kaa Use kar sakte hein. Jaise MS Excel-2007, MS Excel-2010, MS Excel-2013 aur abhi to MS Excel-2016 bhi he jo ke ab tak kaa sab se Latest Version he.

MS Excel ke Uses: Jaisaa ke maine pahle hi batayaa ke Excel har ek Field mein Use hoti he, pahle to ye Software Usually Analysts, Consultant, Marketing Professionals aur Bankers aadi ke kaam par hi Use hoti thi par aaj ye itnaa aam he ke har koi apne Personal Use ke liye bhi Excel kaa istemaal karte hein, Jaise Teachers apne Student ke marks ko store karne mein uski Grade yaa Percentage banaane ke liye, Student apne Personal Daily Expenses ko store karne ke liye yaa to koi Business Man apne Business ki puri Details Store karne ke liye Excel kaa saharaa lete hein aur yahi wajaah he ke agar kisi ke paas Excel ki Knowledge he to Job milne ki Chances aur barh jaati he, kyun ke chhoti ho yaa bari kisi bhi Company me Data store kiyaa jataa he aur Excel ek Perfect Program he is kaam ke liye.

MS Excel kaise Sikhein: Sab se pahle aap ek baat jaan lein ke agar aap mein sikhne ki lagan ho aur kisi kaam ko jo insaanon ke vash mein hon puraa karne kaa josh ho to koi bhi kaam aap ke liye namumkin nahin he, hmm Time aur ichchha yaani iradaah lagenge use puraa karne mein.

        Ye baat maine is liye batayaa kyun ke Excel ek aisi Program he jise kisi ek Post mein yaa kisi ek Video mein sametaa nahin ja saktaa, haan lekin kai Post me yaani kai Part mein hum ise aap ke saamne laa sakte hein aur ye aap ke liye bhi asaan hogaa, waise bhi hum yahaan MS Excel ke jo Basic knowledge he use yahaan zikr karenge aur ye kaafi he Excel mein kaam karne ke liye. Is Blog mein main Excel ke baare mein thoraa thoraa kar ke post kartaa rahungaa aur coming post mein hum kiyaa sikhenge ye bhi Mention kiyaa jaayegaa, to aap pure post ko parhe aur phir aane waale post kaa intezaar karein.

STEP-01

EXCEL  SHEET kyaa he: Sab se pahle hum jaanenge Excel Sheet kise kahte hein aur kyaa hoti he. Bas aap yun samajh lijiye ke Excel kaa program ko kholte hi aap ke saamne jo Page Open hotaa he, jis par aap ko kaam karnaa he use hi kahte hein Excel Sheet, ise Workbook bhi kahaa jataa he. to Excel aap Open karte hi jo Sheet aap ko dikhenge us mein kai chhoti chhoti ghar banaa hogaa, jise Cell kahte hein aur ye Cell upar se niche aur daain se baayen taraf khinchi gayi Line se banaa hua he aur aap dekh rahe honge ke upar se niche khinchi gayi Line jise kahte hein "COLUMN" ko A, B, C, D aur daine se baiyen taraf khinche gaye har ek LineJISE KAHTE HEIN "ROW" ko 1, 2, 3, 4, 5 aise naam diyaa huaa he. aap apne Cursor se kisi bhi ghar mein Click kijiye to upar ek number aap ko dikhenge jo us Cell ki naam he, woh kuchh yun hotaa he C15, D13, A02 etc. Agar hum Excel Version 2013 ki baat karein to is mein aap ko har ek Sheet mein 1048576 ROWs aur 16384 CELLs hote hein yaani kul milaa kar 17179869184 chhote chhote box yaa ghar hote hein jis mein aap kaam kar sakte hein apne zarurat ke anusaar.

(Aaj hum STEP-01 mein sikhein ke MS Excel kaa Sheet yaa Workbook kyaa hotaa he aur aane waale Next Post STEP-02 aur STEP-03 par hum sikhenge Text kaise manage kiyaa jataa he aur Koi Excel ki Sheet kaise Save karnaa he. Isi tarah Total 126 STEPs honge jis se hum Excel ki Basic jaankaari haasil kar lenge inshaa Allah.)

1 comment: