BLOG Kaise banaaye (Part-01)
Aise bahut saare mere dost hein jo Blogging ke baare mein kaafi interest to rakhte hein leikn ek Professional Blogger banne ke liye jo Proper Steps hote hein us ki jaankaari naa hone ke wajaah se ek time ke baad woh apne bane hue Blog se dhyaan hataa dete hein aur yahi nahin kuchh mere dost to aise bhi hein jinhe Blog banaane kaa sahih tariqaa bhi nahin maloom he, jab ke Internet ki duniyaa mein Online Business yaa apni alag pehchaan banaane ke liye Blog ek bahtarin Platform he, sirf yahi nahin aap Blogging ke zariye (agar aap ko Blogging ke Basic aati ho) chaahe to paise bhi Earn kar sakte hein, jis ke liye aap ko koi paisaa kharch karne ki zarurat nahin, bas aap ko Blogging ke baare mein ek Basic Knowledge honaa chaahiye aur sahih janklaari honaa chaahiye jis se ke aap apne bane hue Blog ko paisa Earning kaa ek sahih Medium banaa sake.
Friends to aaj mein Blog ke baare mein kuchh likhne se pahle ye baat Clear karnaa chaahungaa ke Blogging se paisaa Earn karne ke liye apnaa Blog ke Website ko Approve karwanaaa partaa he , kyun ke aap kaa Blog Approve hone ke baad hi us mein Ads aane lagte hein aur usi Ads ke zariye hi aap paisa Earn karnaa shuru karte hein. To Friends Blog banaane se leikar use Step by Step Approve karanaa aur apne us bane hue Blog mein jyada se jyada Traffic milne tak bahut saare Steps hote hein jo hum dhire dhire aur achchhe Explanation ke saath jaaneinge, aur isi liye main ne is Topic ko 3 Part mein Devide kiyaa he, jis se ke hamein Blog Related woh saari jankaari mil jaaye jis se ke hum ghar baithe Blogging ke zariye paisa Earn kar sakein.
PART-01 mein hum jankaari lenge:
- Free Blog kaise banaate hein ?
- Blog aur Website kyaa he ?
- Blogger par Free Blog banaane ke faaide kyaa he ?
Free Blog kaise banaate hein ?
Blog banaane ke bahut saari Platform he, chaahe to aap free mein banaaye yaa to Paid Blog bhi banaa sakte hein, lein main aap ko is Post mein Free Blog ke baare mein hi bataaungaa. Niche aise kuchh Platform he jis se aap free aur Paid dono tariqon se Blog Create kar saktehein:
- Blogger
- WordPress.com
- WordPress.org(By Paying)
- Wix.com
- Tumblr
Wordpress.com : WordPress Website ke do Part hein, pehlaa Wordpress.com jo ke bilkul free he jis par aap free mein Account banaa sakte hein, lekin is mein Features kam hote hein.
Wordpress.org: WordPress kaa ye dusraa Platform he jo ke Paid service he aur is mein aap ko Hosting jke saath Domain bhi Purchase karnaa padtaa he, lekin is ki ek achchhi baat ye he ke ye Manage karnaa asaan he kyun ke is mein Codding ki zarurat nahin padti.
Wix.com: Wix bhi Free aur Paid do tariqe ki Platform he, jis par aap binaa kisi paise ke Free mein Blog banaa sakte hein, lekin Free Version mein Features Limited hote hein.
Tumblr: Tumblr par bhi aap Free mein Blog banaa sakte hein aur aap apne Article Share bhi kar sakte hein.
In sabhi mein Se Blogger aur WordPress jyadaa Popular he
Agar aap ne abhi tak Blog nahin banaaye aur bananaa chaahte hein to main aap ko Recommand karungaa ke aap Blogger.com se hi apnaa Blog ko shuru karin, ye asaan he aur bikul free bhi.
Free Blogg kaise banaaye, Step by Step:
Sab se pahle aap jis Mail ID se Blog shuru karnaa chaahte hein us par Login kijiye aur jab aap kaa Login Complete ho jaaye to aap ke saamne jo Page khulenge us ki upri hissa kuchh yun hongi:
Blog aur Website kyaa he ?
Blogger par Free Blog Banaane ke Faaide kyaa he ?
- Aap apnaa G-mail Account se hi khud kaa Blog banaa sakte hein.
- 2-5 Minutes mein hi aap apnaa Blog Create kar sakte hein.
- Ek hi Account se jitnaa chaahe Blog banaa sakte hein.
- Apne Blog par Advertisement lagaa sakte hein.
- Income kar sakte hein.
- Youtube Video ko Show kar sakte hein.
- Blog aur apne Post ki Language ko Chnage kar sakte hein.
- Apne Blog kaa Complete Backup le sakte hein.
- Unlimited Bandwidth paa sakte hein.
- Page Views Easily check kar sakte hein.
- Apne Blog pe aaye Comments ko manage kar sakte hein.
- Apnaa Login Account Change kar sakte hein.
- Admin ko jab chaahe Change, Add yaa Delete kar sakte hein.
- Blog Name aur Blog kaa Address kabhio bhi Change kar sakte hein.
- Bahut saari Free Templete kaa Use kar sakte hein.
This is actually good to read content of this blog. A is very general and huge knowledgeable platform has been known by this blog. I in reality appreciate this blog to have such kind of educational knowledge.
ReplyDeleteHi account