Saturday, December 1, 2018

LAHSUN KE FAAIDE


Aaj hum baat karenge Lahsun (Garlic) ke upar, Yun to hum rozanaa is chiz ko apni khaane mein masaale ke taur pe use karte hein, lekin is ke faaide aur ahmiyat tni zyadaa he ke hum soch bhi nahin sakte aur yahi wajaah he ke sadiyon pahle se hi Roman, Arab, Egyptian, Yahood, Irani aur duniya ki tamam aqwaam me lehsun ke fawaid par musalsal guftagu ki hai. To aaiye Lahsun ke Faide aur lahsun ke Importance ko aaj hum jaan ne ki koshish karte hein, sab se pahle hum jaan lete hein Lahsun ke mutalliq kuchh besic baatein, Jiase:
In English: Garlic
In Urdu & Hindi: Lahsun
Scientific Name: Allium Sativum
Family Name: Amaryllidaceae

Aaiye ab jaante hein Lahsun ke kuchh khaas Faaide:
  1. Agar aap lehsun ko khaali pet khayeinge to pet mein maujood bacteria pet khaali hone ki wajah se bahut kamzor ho chuka hoga aur ye lehsun ki taaqat ke khilaaf lar nahi paye ga, jis se aap sehatmand aur bohat si bimariyon se mehfooz ho jaayein ge.
  2. Lehsun (Garlic) allergy ki shikayat, sharyano aur ragon ki tangi aur sakhti, ghatiya, damey, urine naa rukne ki shikayat, chest problem, lungs soiling, high blood pressure aur lever problem ke liye aitemaad ke sath istemal kiya jata hai.
  3. Ye khoon ko patlaa kartaa hai,jis se aap kaa nizaam doraan e khoon tez rehta hai.
  4. Garam pani mein pisaa huaa lehsun (Garlic) ghol kar pi liyaa jaaye to Diabetes mein bhi afaqaa hota hai. Kuch log Garlic aur Yogurt mila kar istemal karte hain.
  5. Ise khaali pet khaane se jism ka modafiyati nizaam mazboot hota hai, Aur insani jism bimariyon se larne ke liye mazboot ho jataa hai.
  6. Lehsun ek qudarti antibiotic hai, aur sardiyon mein Iske istemaal se insan khaansi, nazlaa aur zukhaam se mehfooz rehta hai.
  7. Agar aapko jaldi bemari ka masla darpesh ho to apne khaane mein lehsun ki miqdaar barhaa dein. Is se aapke jism mein zehrile maade kam honge aur aapki jald tar o taza rahengi.
  8. Lehsun mein vitamins bhi paye jate hain.Deegar vitamins ke ilawa Calcium, Phosphorus, Iron, Iodine, Cobalt, Zinc, Sodium, Potassium, Selenium jaise maadni ajzaa maujood hote hain. Garlic se hasil hone wale extract purani soiling door karne ki umdah salahiyat rakhte hain
  9. Yeh vegetable jism mein oxygen bhi peyda karti hai, is liye motape ke shikar afraad jo saans ki kami ka gila karte hain, magar exercise kar ke wazan qabo mein nahi kar pate. Mahireen taghziya inhe garlic ke istemal ki advise dete hain. Tahum agar wo tez chehal qadmi bhi kar karen to nizam e hazma ki kharabiyon ke ilawa lever par banne wale fats tissues ke negative asraat kam kiye ja sakte hain
  10. Agar asabi kamzori ka masla darpesh ho to phir bhi lehsun ka istemaal intehai mofeed sabit hota hai.
  11. Misar mein dil ke amraaz ke ilawa rasoliyon, sir dard ki shikayat, pait ke keerhon se nijaat ke liye use kiya jata hai. Yunani tib mein aanton ke zakham, bachon ke qolanj, ghatiya, pechish aur allergy ke liye muassir qarar diya gaya hai.
Mazeed Jaankaari ke liye niche di gayi kuchh news paper ke link pe aap click kar sakte hein:
  1. Ananda Bazaar Patrika (Bangla): https://www.anandabazar.com/lifestyle/few-less-known-benefits-of-garlic-dgtl-1.866487
  2. Ananda Bazaar Patrika (Bangla): https://www.anandabazar.com/lifestyle/surprising-health-benefits-of-garlic-dgtl-1.800131
  3. Dainik Jagaran (Hindi): https://www.jagran.com/haryana/hisar-ten-main-uses-of-garlic-to-prevent-heart-and-cancer-diseases-18525634.html
  4. The Statesman (English): https://www.thestatesman.com/lifestyle/wonders-of-garlic-169335.html
  5. Ananda Bazaar Patrika (Bangla): https://www.anandabazar.com/photogallery/lifestyle/here-are-a-few-ways-to-use-garlic-for-hair-growth-dgtl-1.793000