Monday, October 12, 2020

KITCHEN KE KUCHH TIPS & TRICKS

KITCHEN KE KUCHH TIPS & TRICKS
Friends,
Achchha khanaa bananaa bhi ek Art he jo har kisi se nahin ho pataa, aur ek achchhe Chafe yaa hamaare ghar ke aurtein jab khanaa banaate hein to unki koshish hamesha yahi rahti he ke khanaa laziz bane aur sab ko pasand aaye. Sirf yahi nahin unki hameshaa se ye koshish rahti he waqt lage aur mehnat lage llekin khanaa swaadist bane. Agar aap bhi khanaa banaane ke shokin hein to ye post aap ke liye important he, kyun ke is Post mein maine kuchh aisi zaruri Kitchen Tips kaa zikr kiyaa he, jo ek Chafe ke liye yaa koi bhi jo khanaa banaa rahe hon unke liye jaan ke rakhnaa bahut zaruri he, Kyaa aap ko pataa he ke kuchh aise bhi Kitchen Tips hein jo aap ke khanaa banaane kaa kaam ko bahut jyadaa asaan kar saktaa he.

Kitchen ke ke kuchh zaruri Tips:

1- Rajmaa: Agar aap Rajmaa yaa urad ke daal banaa rahe hein to use ubaalte waqt namak naa daalein, us se ye jaldi pakegaa, chaahe to namak baad mein daale.

2-Puri: Puri ko bahut jyadaa khastaa banaane ke liye jab aap ataa gunde to us mein ek chammach suji yaa chaawal kaa ataa milaa dein.

3-Namak: Barsaat mein namak ko gilaa hone se bachccne ke liye namak ke Bottle mein ek mutthi chaawal rakh dein, namak nahin galegaa.

4-Ataa: Gunde hue aate ko agar aap Freeze mein rakhnaa chaahein to us ke upar thoraa saa ghi lagaa dein, ataa tar o tazaa rahegaa.

5-Paneer: Paneer ko agar aap naram karnaa chaahte hon to garam paani mein namak milaayein aur 10 Minutes ke liye us mein paneer ko daal kar rakhein, bilkul naram ho jaayengi.

6-Chaawal: Chaawal banaate waqt jab chaawal ubalne lage to us mein nimbu kaa ras daal dein, aap ke bane hue chaawal khile khile, safed aur swaadist honge.

7-Pyaaz: Pyaaz ko kaatne se pehle kuchh der ke liye Freeze mein rakh dein, aisaa karne se kaatne ke dauraan aap ke aank se aansu nahin aayenge, inshaa Allah.

Is Post mein itnaa hi, phir inshaa Allah agle post mein Kitchen Related aur kuchh Tips aur Tricks kaa zikr karenge.






1 comment: